dil par rakho nigah jigar par nazar karo maqdur ho to zat mein apni safar karo hangam-e-khair-maqdam-e-subh-e-nashat hai parwana-war sham se raqs-e-sharar karo zanjir todna bhi bada kaam tha magar fursat mein ho to zinat-e-diwar-o-dar karo mayus-kun hai aalam-e-imkan abhi to kya duniya-e-mumkinat pe apni nazar karo jo gham bhi de hayat khushi se qubul ho itna to ehtimam gham-e-mo'tabar karo apnon ko to nibahane wale hazar hain insan ho to dil mein adu ke bhi ghar karo jata nahin ye tir kisi haal mein khata har marhala hayat ka ulfat se sar karo sab lut rahe hain bar-sar-e-bazar in dinon kis se kahen ki qadr-e-mata-e-hunar karo ek rahguzar manzil-e-masti hai mai-kada har rind ko khushi se sharik-e-safar karo ai 'dil' bahut kharab hain haalat shahr ke yan jis kisi se baat karo mukhtasar karo