hazimaten jo fana kar gain ghurur mera unhi ke dam se munawwar hua shuur mera main hairati kisi mansur ki talash mein hun kare jo aa ke ye aaina chur chur mera riwaj-e-zehn se main ikhtilaf rakhta tha sar-e-salib mujhe le gaya futur mera wo ajnabi hai magar ajnabi nahin lagta yahi ki us se koi rabt hai zarur mera main dub kar bhi kisi daur mein nahin duba raha hai matla-e-imkan mein zuhur mera use ab ahd-e-alam ki inayaten kahiye ki zulmaton mein ujagar hua hai nur mera main us lihaz se be-nam nam-awar hun ki mere baad hua zikr dur dur mera