dil pareshan hua jata hai aur saman hua jata hai khidmat-e-pir-e-mughan kar zahid tu ab insan hua jata hai maut se pahle mujhe qatl karo us ka ehsan hua jata hai lazzat-e-ishq ilahi mit jae dard arman hua jata hai dam zara lo ki mera dam tum par abhi qurban hua jata hai girya kya zabt karun ai naseh ashk paiman hua jata hai bewafai se bhi rafta rafta wo meri jaan hua jata hai arsa-e-hashr mein wo aa pahunche saf maidan hua jata hai madad ai himmat-e-dushwar-pasand kaam aasan hua jata hai chhai jati hai ye wahshat kaisi ghar bayaban hua jata hai shikwa sun aankh mila kar zalim kyun pasheman hua jata hai aatish-e-shauq bujhi jati hai khak arman hua jata hai uzr jaane mein na kar ai qasid tu bhi nadan hua jata hai muztarib kyun na hon arman dil mein qaid mehman hua jata hai 'dagh' khamosh na lag jae nazar sher diwan hua jata hai