dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha marna firaq-e-yar mein dushwar hi raha har dam ye shauq tha use qurban kijiye main wasl mein bhi jaan se be-zar hi raha ehsan-e-afw-e-jurm se wo sharmsar hun bakhsha gaya main to bhi gunahgar hi raha hoti hain har tarah se meri pasdariyan dushman ke pas bhi wo mera yar hi raha din pahluon se tal diya kuchh na kah sake har chand un ko wasl ka inkar hi raha zahid ki tauba tauba rahi ghunt ghunt par sau botalen uda ke bhi hushyar hi raha dekhin hazar rashk-e-masiha ki suraten achchha raha jo ishq ka bimar hi raha sadqe mein tum ne chhod diye hain bahut asir main bhi riha hua ki giraftar hi raha lazzat wafa mein hai na kisi ki jafa mein hai dildar hi raha na dil-azar hi raha jalwe ke baad wasl ki khwahish zarur thi wo kya raha jo aashiq-e-didar hi raha kahte hain jal ke ghair mohabbat se 'dagh' ki mashuq us ke pas wafadar hi raha