dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata

dil pyar ke rishton se mukar bhi nahin jata
shaki hai magar chhod ke dar bhi nahin jata

hum kis se karen shoalagi-e-mehr ka shikwa
ai abr-e-gurezan to thahar bhi nahin jata

is shahr-e-ana mein jo fasadat na chhidte
to pyar ka ye shauq-e-safar bhi nahin jata

wo fahm-o-farasat ka diya hath mein le kar
is daur-e-tashaddud se guzar bhi nahin jata

is ek ki rassi ko agar tham ke rahte
phir apni duaon ka asar bhi nahin jata

ye zist ke lamhe hain 'wali' qimti hire
kyun koi bada kaam tu kar bhi nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close