fasil-e-reg par itna bharosa kar liya tumne

fasil-e-reg par itna bharosa kar liya tum ne
chhaten bhi dal din aur wa daricha kar liya tum ne

tajjub hai ibaadat mein bhi aisa kar liya tum ne
nahin dil ko jhukaya aur sajda kar liya tum ne

kabhi mana shariat ki kabhi is se rahe aajiz
magar dawa ki dil allah wala kar liya tum ne

mohabbat pyar hamdardi sabhi ko rakh diya girwi
husul-e-aish ki khatir jo chaha kar liya tum ne

sameta zindagi bhar kali gori jeb ki raunaq
dhala jab umr ka suraj to tauba kar liya tum ne

tahaarat ki tamanna hai na dil mein haq-pasandi hai
magar masum chehra aur labaada kar liya tum ne

garan-maya amanat thi use mahfuz rakhna tha
'wali' pakiza tahzibon ka sauda kar liya tum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close