dil-ruba pahlu se ab uth kar juda hone ko hai kya ghazab hai kya qayamat hai ye kya hone ko hai dushmani-e-khalq meri rahnuma hone ko hai ab mera dast-e-talab dast-e-dua hone ko hai tu ne chaha tha bura mera bhala hone ko hai aab-e-khanjar halq mein aab-e-baqa hone ko hai aaj to ji bhar ke pi lene de ai saqi mujhe jaan hi jati rahegi aur kya hone ko hai ai dil-e-pur-arzu kar de sar-e-taslim kham dekh kin hathon se khun-e-muddaa hone ko hai shokh-raftari ka apni dekh to mud kar asar sath sath uth kar rawan har naqsh-e-pa hone ko hai