har chiz mein aks-e-rukh-e-zeba nazar aaya aalam mujhe sab jalwa hi jalwa nazar aaya tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya kin band jab aankhen to meri khul gain aankhen kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya jab mahr numayan hua sab chhup gae tare tu mujh ko bhari bazm mein tanha nazar aaya gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli ghurbat mein yahi ek shanasa nazar aaya sab daulat-e-kaunain jo di ishq ke badle is bhao ye sauda mujhe sasta nazar aaya nakaam hi ta-umr raha talib-e-didar har jalwa tera baad ko parda nazar aaya jo dur nigahon se sar-e-arsh-e-barin hai wo nur sar-e-gumbad-e-khazra nazar aaya majzub' kabhi soz kabhi saz hai tujh mein tu 'mir' kabhi aur kabhi 'sauda' nazar aaya majzub' ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat un aql ke andhon ko ye sauda nazar aaya