dil-ruba tujh sa dusra na hua ai hasin tu magar khuda na hua jo mohabbat mein mubtala na hua dard-e-dil se wo aashna na hua meri mitti wahan pahunch jati tujh se itna bhi ai saba na hua roz aate hain wo ayaadat ko main na achchha hua bura na hua tu hamesha juda raha mujh se tera arman kabhi juda na hua apni ruswai un ki badnami is mohabbat mein hae kya na hua bewafai ki had hai ye 'muztar' rah ke pahlu mein dil mera na hua