dil-rubaon mein hai teri dilrubai bhi juda wasl bhi tera juda teri judai bhi juda karb-zar-e-dahr ke sahme hue lamhat mein mere aaqa hai teri himmat-fazai bhi juda rah teri jannati jalwon se hai aarasta rah-rawi teri juda hai rahnumai bhi juda munfarid hai faiz-bakhshi mein tera dast-e-karam aur saliqe mein tere dar ki gadai bhi juda hain tere darbar ke aadab sab se mukhtalif tere sang-e-astan ki jabha-sai bhi juda hai ibaadat par bharosa ek juda tarz-e-amal arsh-e-azam tak wasile ki rasai bhi juda dil-nawazi mein janab-e-mustafa sab se alag jaan-nisari mein hai un ka har fidai bhi juda mujh ko hai 'iqbaal' ishq-e-mustafa se tarbiyat hai usi nate meri midhat-sarai bhi juda