ghamon ne kar diya sina figar aahista aahista chaman mein aa gai fasl-e-bahaar aahista aahista na aaega tujhe bhi chain dil ko todne wale mujhe to aa hi jaega qarar aahista aahista wafaen rafta rafta ahl-e-dil ki rang laengi jafaon par wo honge sharmsar aahista aahista surur-o-kaif-o-masti ka ye aalam hai mere saqi barasta hai nigahon se khumar aahista aahista chaman ke phul gin lena nahin 'iqbaal' kuchh aasan tumhaare dagh-e-dil honge shumar aahista aahista