dil-sahra aabaad bhi karna padta hai us zalim ko yaad bhi karna padta hai be-maqsad ke shaghl bhi ras aa jate hain waqt kabhi barbaad bhi karna padta hai arz hi karte rahne mein ghata hai bahut kabhi kabhi irshad bhi karna padta hai jalwon ke khush-rang parindon ki khatir aankhon ko sayyaad bhi karna padta hai aamad ke qael to hum bhi hain lekin fan-para ijad bhi karna padta hai