dil sakht nidhaal ho gaya hai sans aana muhaal ho gaya hai tu tera visal teri furqat sab khwab-o-khayal ho gaya hai wo shauq ki tha mata-e-hasti ab ji ka wabaal ho gaya hai kya rabt hai mera roz o shab se har lamha sawal ho gaya hai jo dard bhula diya tha tu ne wo dard bahaal ho gaya hai ab chaaragari se faeda kya aaghaz-e-maal ho gaya hai tayyar rakho charag apne suraj ko zawal ho gaya hai ai dil meri jaan kuchh to batla ye kya tera haal ho gaya hai lahore ki ahl-e-dil ki jaan tha kufe ki misal ho gaya hai is aalam-e-be-kasi mein 'shohrat' jita hun kamal ho gaya hai