dua salam mein lipti zaruraten mange qadam qadam pe ye basti tijaraten mange kahan har ek ko aati hai ras barbaadi nae safar ki masafat zihanaten mange chamakte kapde mahakta khulus pukhta makan har ek bazm mein izzat hifazaten mange koi dhamaka koi chikh koi hangama lahu badan ka lahu ki shabahaten mange koi na ho mere tere alawa basti mein kabhi kabhi yahi jazba riqabaten mange