dil salamat agar apna hai to dildar bahut hai ye wo jins ki jis ke hain kharidar bahut ek main hi tere kuche mein nahin hun betab sar patakte hain khabar le pas-e-diwar bahut dekhiye kis ke lage hath tera gauhar-e-wasl is tamanna mein to phirte hain talabgar bahut kahin nargis ko magar tu ne dikhain aankhen nahin bachte nazar aate hain ye bimar bahut kya karun kis se kahun haal kidhar ko jaun tang aaya hun tere hath se dildar bahut apne aashiq se kiya puchho to kaise ye suluk aur bhi shahr mein hain tujh se trahdar bahut tere aate to koi phul na hoga sarsabz kya hua bagh mein go phule the gulzar bahut ek din tujh ko dikhaunga main in khuban ko dawa-e-yusufi karte to hain izhaar bahut jurm-e-bosa pe jo 'bedar' ko mara mara na karo jaane do is baat pe takrar bahut