dil se puchha tu kahan hai to kaha tujhko kya

dil se puchha tu kahan hai to kaha tujh ko kya
kis ki zulfon mein nihan hai to kaha tujh ko kya

chashm-e-giryan se shab-e-wasl mein puchha main ne
ab tu kyun ashk-fishan hai to kaha tujh ko kya

jab kaha main ne ki nin bolte ho gali bin
jaan ye kaun zaban hai to kaha tujh ko kya

kahne laga dil-e-gum-gashta tera hai mujh pas
jab kaha main ne kahan hai to kaha tujh ko kya

jab kaha main ne ki ai jaan teri surat par
shefta pir-o-jawan hai to kaha tujh ko kya

jab kaha main ne ki ai sarw-e-riyaz-e-khubi
kis ka tu aafat-e-jaan hai to kaha tujh ko kya

dil se 'bedar' ne puchha ki tere sine par
kis ke nawak ka nishan hai to kaha tujh ko kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close