dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya ek naya rang na ubhre to mulaqat hi kya zindagi zinda ho rakhshanda-o-painda bhi ho chand sanson se mili jaan ki saughat hi kya apne aslaf ke ehsan bhula kar un ko baad-az-marg diye bhi to khitabaat hi kya kam se kam dijiye ek bar to mauqa hum ko phul sahra mein na khil jaen to phir baat hi kya khun-e-dil de ke kiya un ke chaman ko shadab phir bhi kahte hain hamein aap ki auqat hi kya hirs ki aag mein dulhan ko jala dete hain aise jalladon ki auqat hi kya zat hi kya uf ye barsat ki bah jaen gharibon ke makan khun rulwae jo barsat wo barsat hi kya qalb par naqsh na ban kar jo ubhar aaen 'habib' aise ashaar hi kya aise khayalat hi kya