har guzarta pal naya ek masala deta gaya har guzarta din nae gham ka pata deta gaya tapte sahra se tamanna chhanw ki be-sud thi hum ki chalte hi gae wo aabla deta gaya dasht-e-furqat jaan-lewa ho gaya us dam mujhe ek tasawwur aap ka bas hausla deta gaya mubtala-e-gardish-e-haalat main jab jab hua mujh ko saya apni rahmat ka khuda deta gaya bas ye eajaz-e-mohabbat tha ki meri qabr par sang-dil se sang-dil bhi fatiha deta gaya wasf-e-fann-e-shairi milta gaya jun jun mujhe main bhi tha faiyyaz bas leta gaya deta gaya allah allah naza ka aalam tha lekin wo 'habib' jate jate mujh ko jine ki dua deta gaya