dil se dil jab nahin mile phir to dekhne-bhar hain rabte phir to munqata' kar to len ta'alluq hum masale hal nahin hue phir to khud ko jab dekh hi nahin sakte hain 'abas sare aaine phir to naqsh achchhe nahin banenge dost jab badal jaen zawiye phir to kyon shikayat karun ki tanha hun munfarid jab hon raste phir to aap kah bhi rahe hain kuchh bolo aur jab sun nahin sake phir to nind gar aa bhi jae furqat mein khwab mein aae ratjage phir to kya kaha kuchh na kar sakunga main shukriya aap ka are phir to sare tohfe nahin hue wapas waqt lauta na jab sake phir to jaisi haalat mein khud-kushi kar li waisi haalat mein wo jiye phir to