chahta to nahin tha par aai aap ki yaad 'umr-bhar aai us ne jhanka tha shab dariche se chandni jhil par utar aai aabju aaya us ke hisse mein aur tishna-labi idhar aai main ki dariya kinare baitha tha lash pani par ek ubhar aai us ke kandhe pe sar rakha hi tha nind aai bhi to kidhar aai chand bhi ot se nahin nikla aur wo bhi na baam par aai gham ki shab june ko padha main ne khun ugalti hui sahar aai dekhta rah gaya faqat pankha jab na surat koi nazar aai main jo hun mujh ko ho gaya ma'lum udti udti hui khabar aai