dil se meri yaadon ko riha kyon nahin karte tum phul se khushbu ko juda kyon nahin karte rishton ke bikharne ka sabab hum se na puchho tum khud hi batao ki wafa kyon nahin karte barson se koi khat nahin aaya mere ghar par ab nama yahan log likha kyon nahin karte jo dur hua hum se wahi puchh raha hai hum fasla mitne ki dua kyon nahin karte kyon mazi ki har yaad saja rakkhi hai ghar mein hai dard purana to dawa kyon nahin karte mahfil mein to tum nam mera le nahin sakte tanhai mein bhi zikr mera kyon nahin karte barson se 'wila' ek kinare pe khadi hai tum nil ke sahil pe mila kyon nahin karte