koi zarra jo dil ki khak ka barbaad hota hai jahan-e-ishq mein shor-e-mubarakbaad hota hai na puchho kya surur-e-lazzat-e-bedad hota hai jab aaghosh-e-mohabbat mein dil-e-nashad hota hai khuda jaane ye kya dam-e-bala hai gulshan-e-hasti jidhar parwaz karta hun udhar sayyaad hota hai ye dars-e-ishq bhi kaisa anokha daras hai ya-rab ki jitna bhulta jata hun utna yaad hota hai jo teri yaad mein girta hai ban kar gauhar-e-maqsad wahi ashk-e-mohabbat hasil-e-rudad hota hai koi shorida-sar paband-e-zindan ho nahin sakta bagula apni zanjiron mein bhi aazad hota hai jo 'wahshi' ki tarah hota hai paband-e-gham-e-jaanan wahi to bas gham-e-dauran se bhi aazad hota hai