dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas is tarah khinchti hai ye tar-e-nafas ki bas phir yun hua ki raushni nazil hui wahan phir dekhte hi khul gaya chaak-e-qafas ki bas main barf ki chatan hun tu garm-rau charagh mat puchh mujh pe kya hai teri dastaras ki bas dam-saz to bahut hain koi dam-shanas ho koi tapish si hai tah-e-mauj-e-nafas ki bas sahra mere mizaj ka hissa hai phir bhi aaj ek abr-zad ne kiya is tarah mas ki bas