raushan tamam kaba o but-khana ho gaya ghar-ghar jamal-e-yar ka afsana ho gaya surat-parast kab hue mani se aashna aalam fareb-e-tur ka afsana ho gaya chashm-e-hawas hai shefta-e-husn-e-zahiri dil aashna-e-mani-e-begana ho gaya aasan nahin hai aag mein danista kudna diwana shauq-e-wasl mein parwana ho gaya kaifiyat-e-hayat thi dam bhar ki mehman labrez pite hi mera paimana ho gaya ashkon se jam bhar gae saqi ki yaad mein kuchh to maal-e-majlis-e-rindana ho gaya dair o haram bhi dhah gae jab dil nahin raha sab dekhte hi dekhte virana ho gaya kal ki hai baat josh pe tha aalam-e-shabab yaadash-ba-khair aaj ek afsana ho gaya aaina dekhta hai gareban ko phad kar wahshi ab apna aap hi diwana ho gaya kya jaane aaj khwab mein kya dekha 'yas' ne kyun chaunkte hi aap se begana ho gaya