dil se samjhunga ise dushman-e-jaan hone do

dil se samjhunga ise dushman-e-jaan hone do
zahr gholunga dawa mein khafaqan hone do

aankh bhaun us ke ishaaron pe rawan hone do
mil ke abru-o-mizha tir-o-kaman hone do

mere dil ko hadaf-e-tir-e-nigah karte hain
aur mujh se bhi ishaara hai ki han hone do

aag bhadki hui hai mujh ko na samjhae koi
jaan ka mal ka hota hai ziyan hone do

har tarah hum dil-e-na-fahm ko samjha lenge
dagh maujud hain pahlu ko khizan hone do

ism-e-azam ka asar ghair ko dikhla denge
yar ka nam zara wird-e-zaban hone do

aankhen phuten bhi kahin is falak-e-bad-bin ki
zabt achchha nahin aahon ka dhuan hone do

parda dalo meri aankhon pe na ai sharm-o-hijab
yar be-parda hai mujh ko nigaran hone do

raat baqi hai abhi kis liye ghabra ke uthe
top chhutne do meri jaan azan hone do

lucknow mein tumhein dikhlaenge chauka bahte
chaar aansu meri aankhon se rawan hone do

dekhun kyun kar nahin hota falak-e-kaj sidha
dil-e-mahzun ki buland aah-o-fughan hone do

ahl-e-duniya mein moassir hai har ek shai ka riwaj
mast ho jaenge sab daur-e-mughan hone do

naujawani ka maza koi kharabaat mein hai
mardum-e-pir ko mushtaq-e-jinan hone do

aazmaish ke nazar hi jo hamare jaanib
par sine se nigahon ki sinan hone do

'bahr' ne ab to kamar bandhi hi bad-wazai par
ab na roko ise ruswa-e-jahan hone do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close