sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka ab kya karun ilaj dil-e-dagh-dar ka us se mujhe milao ki marta hun hijr mein bais hai zindagi ka meri wasl yar ka sayyaad ab to chhod de aati hai fasl-e-gul dekhunga hae kyun ki tamasha bahaar ka shayad tumhaare din mein hai ai dilbaro rawa dil chhin lena aashiq sina-figar ka shabnam nahin hai barg ke upar chaman ke bich 'asif' gira hai ashk kisi be-qarar ka