dil shab-e-furqat sukun ki justuju karta raha raat-bhar diwar-o-dar se guftugu karta raha jo bahaaron ki chaman mein aarzu karta raha nazr-e-rang-o-bu khud apna hi lahu karta raha apni nazron ko kharab-e-justuju karta raha jo musalsal imityaz-e-rang-o-bu karta raha shisha-e-dil jo nazakat mein guhar se kam nahin ishq mein kaise sitam sahne ki khu karta raha aashiqi mein us ki nakaami bhi nakaami nahin jo fana ho kar bhi teri justuju karta raha teri chashm-e-mast se pine ke jo qabil na tha mai-kade mein khwahish-e-jam-o-subu karta raha sochna ye hai ki us ke khun-e-dil ko kya hua jo qafas mein aarzu-e-rang-o-bu karta raha dil ne josh-e-shauq mein kitne hi sajde kar liye dida-e-tar khun-e-dil se hi wuzu karta raha jis ne paiham koshishen kin amn-e-alam ke liye wo khud apne hi chaman ko surkh-ru karta raha wo sitam dhate rahe har dil pe aur har zakhm-e-dil shikwa-e-bedad unhin ke ru-ba-ru karta raha aise diwane ko kya chaak-e-gareban ki ho qadr umr-bhar jo chaak-e-daman hi rafu karta raha sare aalam ko rahi ai 'naz' us ki justuju apne jalwon ko ayan wo ku-ba-ku karta raha