sahra se naddi ke safar mein rawan thi khak yani apni asl mein ek imkan thi khak aisi taza-kari is bosida-waraq par meri shakl mein aane se pahle kahan thi khak hawa udai us ne ek ek aalam ki ye us daur ki baat hai jab ki jawan thi khak ek khushbu ki zad mein tha us ka har raqs aur isi khushbu ke liye makan thi khak us mein jitni girhen thin sab aab ki thin warna apne rang mein to aasan thi khak