dil-sitani dilrubai par ghamand aap ko hai khush-adai par ghamand jaanta hun us ka nibhna hai muhaal kya karun main parsai par ghamand naz hai qatil ko apni tegh par tegh ko hai kaj-adai par ghamand rahm un ko haal-e-gham par aa gaya dil kare be-dast-o-pai par ghamand aasiyon ko rahmat-e-haq par ghurur zahidon ko jabha-sai par ghamand guftugu bhi mujh se tum karte nahin is qadar is khush-adai par ghamand parda-e-dar par kisi ko naz hai hum ko nazron ki rasai par ghamand ab unhen hai dil-nawazi ka khayal tha jinhen tegh-azmai par ghamand phir giraftar-e-qafas ho jaunga hai abas mujh ko rihai par ghamand ho gaya jis ke sabab se main asir tha mujhe us khush-nawai par ghamand gharq kar dega unhen tufan-e-ishq 'nuh' ko hai na-khudai par ghamand