dil tere taghaful se khabar-dar na ho jae ye fitna kahin khwab se bedar na ho jae muddat se yahi parda yahi parda-dari hai ho koi to parde se numudar na ho jae mujh se mera afsana-e-mazi na suno tum afsana naya phir koi tayyar na ho jae ai masti-e-ulfat sabaq-e-kufr diye ja jab tak mujhe har chiz se inkar na ho jae hona hai jo hasti ko meri khak hi 'simab' pahle hi se kyun khak-e-dar-e-yar na ho jae