titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun hum saja bhi len agar diwar-o-dar dekhega kaun ab to hum hain jagne wale teri khatir yahan hum na honge to tere sham o sahar dekhega kaun jis ki khatir ham-sukhan sachchai ke raste chale jab wahi us ko na dekhe to hunar dekhega kaun sab ne apni apni aankhon par naqaben dal lin jo likha hai shahr ki diwar par dekhega kaun be-sitara zindagi ke ghar mein ab bhi raat ko ek kiran tere khayalon ki magar dekhega kaun