dil tha ki gham-e-jaan tha main khud se pasheman tha main ne use chaha to wo mujh se gurezan tha fitrat ke ishaare par jo naqsh tha raqsan tha haalat ke hathon mein kyun mera gareban tha kal mere tasarruf mein ek aalam-e-imkan tha main khud se chhupa lekin us shakhs pe uryan tha kyun shahr-e-nigaran mein aaghaz pareshan tha