wo aadat hai to aadat se kinare ho bhi sakta hai magar is sari koshish mein khasara ho bhi sakta hai rahenge sath phir bhi hum mohabbat mar gai kya gham ki masnui tanaffus par guzara ho bhi sakta hai agar aankhen na bhar aaen to dil mutthi mein aaega hua hai haal jo mera tumhaara ho bhi sakta hai khuli aankhon mein thahra khwab kaise tut sakta hai guman ye zindagi bhar ka sahaara ho bhi sakta hai jo itni jagmagahat dekhte ho aas-pas apne ye meri aankh se tuta sitara ho bhi sakta hai hamein hairat se mat dekho ab aisa kya kiya hum ne zamini ishq hai sahab dobara ho bhi sakta hai