dil thahra ek tabassum par kuchh aur baha ai jaan nahin gar hans dije aur le lije to faeda hai nuqsan nahin ye naz hai ya istighna hai ya tarz-e-taghaful hai yaro jo lakh koi tadpe siske fariyaad kare kuchh dhyan nahin jab sunta hai ahwal mera yun kahta hai ayyari se hai kaun wo us se hum ko to kuchh jaan nahin pahchan nahin kuchh ban nahin aata kya kije kis taur se miliye ai hamdam wo dekh hamein ruk jata hai aur hum ko chain ek aan nahin tar dekh ke meri aankhon ko ye baat sunata hai hans kar hain kahte jis ko chah miyan wo mushkil hai aasan nahin dil phans kar us ki zulfon mein tadbir rihai ki mat kar kab chhuta us ke dam se tu wo dana hai nadan nahin