zulmat aisi ki sujhai nahin deta kuchh bhi nur itna ki dikhai nahin deta kuchh bhi khamushi ki wo khala lafz labon se gir jaen shor itna ki sunai nahin deta kuchh bhi ek hamdard ne phir lut li dil ki basti dil wo khugar ki duhai nahin deta kuchh bhi bar-sar-e-rah bhi gulzar khile hain kitne dhun mein manzil ki dikhai nahin deta kuchh bhi dasht se daulat-e-sayyal mili auron ko hum ko juz aabla-pai nahin deta kuchh bhi