dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz hain tere naz ke sadqe isi andaz se ramz ramz-o-ima-o-kinae tujhe sab yaad hain yar hum to bhule hain gham-e-ghamza-e-ghammaz se ramz apni na-fahmi se main aur na kuchh kar baithun is tarah se tumhein jaez nahin eajaz se ramz dil ko tu sahj mein lewega ye main jaan chuka yahi nikli hain teri sahj ki aawaz se ramz hum jien ya ki maren kuchh nahin gham shauq se aap masnad-e-naz pe farmaiye eazaz se ramz main isi dam teri tarwar se katunga gala tegh dikhla ke miyan aashiq-e-jaan-baz se ramz baz jaddam se dar-e-adl-e-shah-e-alam hai bachcha-e-qaz bhi karta hai yahan baz se ramz kya tajjub hai agar murda-e-sad-sala jien kam nahin mere masiha ke bhi eajaz se ramz hai tujhe khana-kharabi hi agar madd-e-nazar kijiyo ai falak us khana-bar-andaz se ramz ramz-e-'ehsan' se hai yani ki ghazal aur bhi padh sikh jae koi us chashm-e-fusun-saz se ramz