dil to kya jaan se guzarna aaya

dil to kya jaan se guzarna aaya
ji uthe log jo marna aaya

sarf jab tak na hua dil ka lahu
harf mein rang na bharna aaya

ho gae sare samundar payab
jab hamein par utarna aaya

fasl-e-gul i to har ghunche ko
zakhm ki tarah nikharna aaya

jo nafas tha wo raha garm-e-safar
kab musafir ko thaharna aaya

ek gul-e-tar ki mohabbat mein hamein
kitne kanton se guzarna aaya

wo adab ishq ne bakhsha ki hamein
muddaton baat na karna aaya

dil pe apne jo padi zarb 'ziya'
tut kar hum ko bikharna aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close