gham-e-hayat gham-e-dil nishat-e-jaan guzra tumhaare sath har ek lamha shadman guzra tadap ke dard se fariyaad ko jo lab khole sitam shiar zamane pe ye garan guzra badal de rukh jo meri zindagi ke dhaaron ka wo hadisa mere dil par abhi kahan guzra jawab-e-tur-o-tajalli kahenge ahl-e-nazar jo dil ki rah se wo husn-e-mehrban guzra basa ke dil mein tere gham tere sitam ai dost jahan jahan se bhi guzra main naghma-khwan guzra