dil tut chuka tar-e-nazar tut raha hai qiston mein musafir ka safar tut raha hai har roz badalta hai naya rang zamana har shakhs ba-andaz-e-digar tut raha hai tu ghaur se dekhe to ye malum ho tujh ko jo kuchh hai tere pesh-e-nazar tut raha hai kya jaaniye kyun log tashaddud pe utar aae dastar bachate hain to sar tut raha hai manzil hai ki ojhal hai nigahon se abhi tak rasta hai ki ta-hadd-e-nazar tut raha hai jo war bhi karta hai wo kari nahin hota qatil ka mere zoam-e-hunar tut raha hai kuchh aise 'shafiq' ab ke hue waqt se pamal parwaz ka zamin tha jo par tut raha hai