dil-o-nazar ko lahu mein dubona aata hai na ab hansi hamein aae na rona aata hai hawa ke hath charaghon se khelte hain yunhi ki hath bachchon ke jaise khilauna aata hai hum ahl-e-zar ke daron par qadam nahin rakhte gada-e-khak hain mitti pe sona aata hai khumar-e-dar-ba-dri chain se na rahne de jo khwab aata hai aksar salona aata hai ghazal ke sher hain mufrad magar wo shair hai jise sab ek ladi mein pirona aata hai