dil umangon se jo khali ho to be-dil kahiye phir kise naqa samajhiye kise mahmil kahiye ab koi yar na dildar na dushman na harif zindagi is ko teri kaun si manzil kahiye aaj har gam pe maqtal ka guman hota hai kise qatil to kise kucha-e-qatil kahiye zindagi maut se kuchh kam to nahin hai dushwar kise aasan samjhiye kise mushkil kahiye sari bimari o sehhat ka usi par hai madar jism ka chhota sa tukda ki jise dil kahiye sari qurbaniyan ab tak ki to baatil thahrin kya bacha phir ki jise zist ka hasil kahiye dil hi viran ho 'azhar' to kahan phir raunaq ras aa sakti hai phir kaun si mahfil kahiye