aur kyon dard-e-sar kijiye baat ko mukhtasar kijiye ashk to khatm hi ho chuke khun se chashm tar kijiye qadr-dan hi na jab koi ho kis se arz-e-hunar kijiye rahzanon ko haya jin se aae mat unhen rahbar kijiye kije tamir be-shak mahal kyon hamein dar-ba-dar kijiye jaise khushbu rahe phul mein zindagi yun basar kijiye