dil us bewafa se mila chahta hai mujhe bhi ye ruswa kiya chahta hai wo duzd-e-hina khun-baha chahta hai hamara bhi ab khun baha chahta hai tamasha kar ai gul mere dagh-e-dil ka agar sair-e-gulshan kiya chahta hai ye sargoshiyan kab hain illat se khali adu kan mein kuchh bhara chahta hai khudai mein kya dakhl hai in buton ko jo kuchh chahta hai khuda chahta hai laga kar lahu apne daman mein gul bhi shahidon mein tere mila chahta hai ayaadat ko aata hai baalin pe mere wo qatil masiha bana chahta hai tahayya kiya karwan ne adam ka jaras koi dam mein baja chahta hai zara gosh-e-dil se suno haal us ka 'fida' aap se kuchh kaha chahta hai