fida hai dil payambar par hamara

fida hai dil payambar par hamara
dila hai auj par akhtar hamara

tasawwur hai rukh-e-raushan ka dil mein
munawwar aaj-kal hai ghar hamara

wasila hum ko hath aaya hai bartar
shafia-e-hashr hai sarwar hamara

hum ab maddah-e-shah-e-bahr-o-bar hain
musakhkhar hoga bahr-o-bar hamara

hamein bimari-e-hijran hai ya shah
usi se haal hai abtar hamara

pade hain hind mein hum ya shah-e-din
tadapta hai dil-e-muztar hamara

na taqat hai pahunchne ki na hai sabr
muayyan hai koi nayyar hamara

kashish bahr-e-khuda ab kije aisi
ki shauq-e-dil hi ho rahbar hamara

wo sang-e-astan aur khak wan ki
ye baalish aur wo bistar hamara

yahi khwahish hai aur hai ye hi ummid
yahi kafi hai karr-o-far hamara

ata farma tawakkul aur qanaat
bhatakta jae ye dar dar hamara

'fida' apni dua ho ye bhi maqbul
dar-e-mahbub ho aur sar hamara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close