dil us se laga jis se ruTha bhi nahin jata

dil us se laga jis se rutha bhi nahin jata
kaam us se pada jis ko chhoda bhi nahin jata

din raat tadapta hun ab jis ki judai mein
wo samne aae to dekha bhi nahin jata

manzil pe pahunchne ki ummid bandhe kaise
panw bhi nahin uthte rasta bhi nahin jata

ye kaun si basti hai ye kaun sa mausam hai
socha bhi nahin jata bola bhi nahin jata

angaron ki manzil mein zanjir-bapa hain hum
thahra bhi nahin jata bhaga bhi nahin jata

is martaba chhai hai kuchh aisi ghata jis se
khulna bhi nahin hota barsa bhi nahin jata

har haal mein itne bhi be-bas na hue the hum
daldal bhi nahin lekin nikla bhi nahin jata

mar jate the ghairon ke kanta bhi jo chubhta tha
khud qatl hue lekin roya bhi nahin jata

kafir hon jo hasrat ho jine ki magar 'shohrat'
is haal mein yaron ko chhoda bhi nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close