dil wale hain hum rasm-e-wafa hum se mili hai duniya mein mohabbat ko baqa hum se mili hai wo khanda-ba-lab zikr-e-gulistan pe ye bole ghunchon ko tabassum ki ada hum se mili hai sadiyon se taraste hue kanon mein jo pahunchi tarikh se puchho wo sada hum se mili hai hum wo hain ki khud phunk diye apne nasheman gulshan ke andheron ko ziya hum se mili hai kya ek hi mehwar pe hai thahri hui duniya wo jab bhi mili hai to khafa hum se mili hai wo but jo khuda aaj bane baithe hain un ko ye shan-e-khudai ba-khuda hum se mili hai hum thahre hain tufan-e-hawadis ke muqabil badh badh ke gale mauj-e-bala hum se mili hai sikha hai jalane ka chalan shama ne tum se parwanon ko jalne ki ada hum se mili hai hum ahl-e-mohabbat hain lahu dete hain 'rahi' be-nur charaghon ko ziya hum se mili hai