tabahi bastiyon ki hai nigahbanon se wabasta gharon ka ranj virani hai mehmanon se wabasta safar qadmon se wabasta hai lekin rasta apna gulistanon se wabasta na viranon se wabasta sadaqat bhi to ho jati hai maqtul-e-fareb aakhir haqiqat bhi to ho jati hai afsanon se wabasta supurd-e-khak hum ne hi kiya kitne azizon ko hamin ne kar diye hain phul viranon se wabasta tahi-dasti ne tanha kar diya har ek mahfil mein bujhi shamen nahin rahti hain parwanon se wabasta charaghon ko rakha jata hai aandhi aur tufan mein farishton ko kiya jata hai shaitanon se wabasta sahifon mein kahin tahrir raushan thi yahi 'rahi' zamin par the kabhi insan insanon se wabasta