dil wo jis ke aaine mein aks-e-ainda raha tera daman manzilon mein bhi darakhshanda raha aah-e-awara ki surat ruh-e-gul pyasi rahi phul khushbu ban ke shabnam ke liye zinda raha hae wo ek muflis-o-be-khanuma jo umr-bhar saya-e-diwar ahl-e-zar ka bashinda raha kaun hum se chhin sakta hai mohabbat ka mizaj pattharon mein rah ke bhi ye naqsh tabinda raha zindagi se yun to samjhauta kiya sab ne magar jis ne jine ki qasam khai wahi zinda raha kaenat-o-nur-o-zulmat hai mera apna wajud raushni mein bhi mera saya numainda raha jaane kya kya kah gaya us se mera husn-e-sukut der tak wo mere chup rahne pe sharminda raha hadse to aur bhi 'tasnim' se uljhe magar ek tera gham tha jo har aalam mein painda raha