dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki sair-e-duniya ke siwa hum ne koi khwahish na ki motiyon se chashm-o-jaan ko aaina-khana kiya sip ke tukdon se baam-o-dar ki aaraish na ki kis ko fursat thi ki sunta us safar ka majra jab usi manzil-nashin ke hont ne jumbish na ki us ne jo bhi rup dhaara us ne jo bhi dukh diya aadmi banne ki hum ne us se farmaish na ki kuchh qalam-bandi se mujh ko aar tha warna 'naim' kab mere abr-e-nigah ne fikr ki barish na ki