dilon mein aag lagao nawa-kashi hi karo nahin hai shaghl-e-junun kuchh to shairi hi karo ye kya ki baith rahe ja ke khalwat-e-gham mein nahin hai kuchh to chalo chal ke mai-kashi hi karo yahi hunar ka sila hai to naqidan-e-sukhan kisi usul ke parde mein dushmani hi karo sada-e-dil na suno arz-e-haal to sun lo kahan ye farz hai tum par ki munsifi hi karo yahi 'naim' bahut hai jo kat lo ye raat ye kuchh zarur nahin hai ki raushni hi karo